Zara Si Dair Mein Ham Kaisay Kholtay Usko
Tamaam Umer Lagi Jhoot Boltay Usko
Jisay Kasheed Kia Tha Khumaar E Khushbuu Se
Misaal E Rang Hawaaon Mein Gholtay Osko
Wo Khwaab Mein Hee Utarta Shuaa E Subah Ke Saath
Ham Apnay Aap Hee Palkon Pe Toultay Usko
Wo Ashk Tha Ose Aankhon Mein Dafan Hona Tha
Gohar Na Tha Ke Sitaaron Mein Roltay Usko
Wo Be Wafa Tha Tou Iqraar Lazmi Karta
Kuch Aur Dair Meri Jaan Tatoltay Osko
Kisi Ki Aankh Se Mohsin Zaroor Peeta Hai
Tamaam Sheher Ne Dekha Hai Doultay Usko..!!!